
~*~ Kitna Mast Tarana Hoon ~*~
Aashiq , majnu jo bhi samjho Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Bulbul meri Chulbul meri mast zawani hai ,
Main uska sahil uska rahi Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Farishta meri Gulistaa meri poori kahani hai ,
Main uska sawan uska daaman Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Maina meri Raina meri mast rawani hai ,
Main uska ranjha uska kanha Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Rani meri Gudiya meri pari ruhani hai ,
Main uska pagal uska kajal Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Saansey meri Rahein meri Bijli tufani hai ,
Main uska suraj uska chanda Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Hirni meri Sherni, Meri Jhansi Rani hai ,
Main uski pooja uska mandir Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Sita meri Geeta mere Dil Ki Maharani hai ,
Main uska gahna uska sajna Main to mast Diwana hoon !
Wo Meri Jiya meri Siya meri Ram nishani hai ,
Main uska raghuwar uska taruwar Main to mast Diwana hoon !
Wo meri Chahat meri Rahat meri Jaan diwani hai ,
Main uski choori uska gajra Main to mast Diwana hoon !
Aashiq , majnu jo bhi samjho Main to mast Diwana hoon !

No comments:
Post a Comment